JANIYE EXERCISE KARTE WAQT KITANI MAATRA MAIN PANI PEENA CHAHIYE...
Aapne aksar suna hoga ki chalne-phirne ya fhir exercise ke dauraan pani nahi peena chahiye, isake wajha kaha jaata hai ki pani aaraam se baithkar peena chahiye, lekin isase ulat aksar aapne dekha hoga ki log gym ya exercise karate Waqt beech-beech main pani peete hain. ab in dono baato main sach kya hai? kya exercise karate Waqt pani peena chahiye ya nahi? yaha jaane is sawal ka jawab.
Hydration- Apko gym main exercise karte samay har Waqt sharir ko hydrated rahane ki jarurat hoti hai. beech-beech main pani peene se baad main muscles main dard aur thakaan se bacha ja sakta hai. eshi wajha se kuch-kuch maatra main pani peete rahana chahiye.
Thoda Pasina Thoda Pani -sharir se calories burn karne ke dauraan sodium aur potassium ki maatra kam hoti chali jaati hai. aise main sharir main pani ki maatra ka balance bane rakhane ke lye electral based drink lee jaati hai. isaka sabase bada fayeda hai ki aisa karke muscles ke dard se bacha ja sakata hai.
Acha Workout- Aapki body agar hydrated rahegi to workout bhi behatar hoga, kyonki sharir main sahi pani ki maatra thakaan aur dard se bachati hai. agar aap workout main beech-beech pani nahi पिएंगे to aapki muscles main jyaada khichav mehsoos hoga aur workout ke baad aur dard hoga.
Post a Comment