WHATSAPP PHIR LEKAR AAYA NAYA UPDATE, HOGE YE 2 FAYEDE
Lokapriya messaging app whatsapp ne apne android users ke liye naye beta update ko roll out karna shuru kar diya hai. isake update version V2.18.159 main 2 nayi feature milenge. jisame ek media visibility or dusara New Contact Shortcut hai. haal main whatsapp or bhi kayi naye feature laaya hai.
Media visibility feature se users apne share kiye huye media ki visibility ko set kar payege. isake liye users ko pehale whatsapp setting main jaana hoga. uske baad data and storage uses main jaha unhe ek naya option media visibility ka milega. agar users option ko enable kar dete hain to uske baad whatsapp se bahar gallery main sabhi download kiye huye media ko dekh payege. vahi, agar vah option ko disable kar dete hai to download kiya huya saara media chhip jayega.users media ko app ke bhitar hi dekh payege, gallery main nahi.
Es update ke saath contact shortcut ka ek or feature judhega. is shortcut par click karne se users naye contact ko or jaldi jodh payege. ye features abhi shirf android ke beta mod main hi hai, har kisi ke liye upalabdh nahi hai.
Bata de ki abhi haal hi main whatsapp main ek naya bug mila hai. isake karan se users ko app par block account par bhi message bhej pa rahe hai. yani aapne whatsapp par jin accounts ko block kiya hai vah bhi aapke status dekh sakte hai or aapko message bhej sakte hai.users block kiye gaye contact ke message ko nazarandaaz karne ke liye ek kaam kar sakte hai. isake liye pehale kisi block contact ko unblock kare or phir se unhe block kare.
Post a Comment